💫💫Khwahish🌟🌟
Zindagi khwahishon ka ek chhota sa sansar hai, Jahan kbhi Iss khwahish ko pura krna hota hai to kbhi us khwahish ko..... Thak jata hai insan in khwahishon ko pura karte karte, Lekin ye athak roop se chalti jati hai..... Man hota hai kbhi, In Aansuo ki laharo me beh jane ka, To kabhi Un khwabo ke jahan me gum ho jane ka, Jahan mere alwa koi aur na ho..... Socha tha ki kahani yahi khatam ho jayegi in khwahishon ki, Lekin aisa ho na saka..... Wo Aansu Jinhe beh gyi thi main, Aur wo khwabo ka jahan, Jaha gum ho gyi thi main... Yad dila rha hai un adhoori si khwahishon ki, Jinhe ab abhi pura krna hai